top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

1329 items found for ""

  • Bheeni Suhani Sub’h Mein Thandak Jigar Ki Hai Naat Lyrics

    Bheeni Suhani Sub’h Mein Thandak Jigar Ki Hai Kaliyaa(n) Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai. Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar  Ki Hai Chubhti Huwi Jigar mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai. Daaley Hari Hari Hai To  Baaley Bhari Bhari Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai. Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey Sounpa  Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai. Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai. Kalik Jabee(n) Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai. Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh se Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai. Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai. Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai. Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai. Waaru Qadam Qadam Pa Kay  Har Dam Hai Jaane Nao Ye Raahey Jaa(n) Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai. Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri MarMar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai. Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak Hasrat Malai’ka  Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai. Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai. Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai. Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai. Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai. Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai. Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai. Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge Rukhsat  Hi  Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai. Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb Bey Hukm Kab Majaal  Parinde ko Par ki Hai. Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai Ye Badliya(n) Na ho To Karooro(n) ki Aas Jaye Aur Bargaahe  Marhamate Aaam Tar Ki Hai. Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai. Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai. Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai. Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai. Hai Chatro Takht Saya-e Dewaaro Khaake Dar Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai. Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai, Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai. Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai Jo Aaj Jholiyo mei  Gadhayaane Dar Ki Hai. Jaaru-kasho Mei  Chehre Likhey Hai Mulook Ke Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai. Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh Seedhi Sadak Ye Shahre  Shafa’t Nagar Ki Hai. Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido! Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai. Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai. Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai. Kaba Dhulhan Hai Turbate At-har Nayi Dulhan Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai. Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai. Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai. Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai. Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai. Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai. Roomi Ghulam Din Habshi Baandiya(n) Shab’e Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai. Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai. Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai. Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai. Amber Zamee(n), Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar Adna Si Ye Shanaakhat  Teri Rahguzar Ki Hai. Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai. Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge Sarkar Mei Na LAA Hai Na Hajat Agar Ki Hai. Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai. Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai. Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai. Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai. Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar ki Hai. Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai. Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai. Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai. Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai. Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai. Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai. Mai khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai. Mangta Ka Haath Uth-te Hi Daata Ki Dayn Thi Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai. Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa Ye Aabru ‘Raza’ Tere Damaan e Tar ki Hai

  • Mangton Ko Sultan Banaya Naat Lyrics

    Mangton Ko Sultan Banaya Mangton Ko Sultan Banaya Mere Pyare Aqa Ne Jab Apna Darbaar Lagaya Jab Apna Darbaar Lagaya Mere Pyare Aqa Ne Mal-o-zar Ki Baat Naheen Hai Sab Yeh Karam Ki Baatain Hain Mal-o-zar Ki Baat Naheen Hai Sab Yeh Karam Ki Baatain Hain Jis Ko Chaha Dar Pe Bulaya Jis Ko Chaha Dar Pe Bulaya MerePyare Aqa Ne Jis Per Apna Rang Charhaya Mere Pyare Aqa Ne Jis Per Apna Rang Charhaya Mere Pyare Aqa Ne Daata,fareed Aur Khawja Banaya Pyare Aqa Ne Khud To Thehray Khatam Rasul Ghos Piya Jilani Ko Khud To Thehray Khatam Rasul Aur Ghaus Piya Jilani Ko Walio Ka Sultan Banaya Waiio Ka Sultan Banaya Mere Pyare Aqa Ne 12 Rabi Ul Awal Ke Din Noor-e-khuda Ki Kirno Se 12 Rabi Amna Tera Gher Chamkaya Amna Tera Gher Chamkaya Mere Pyare Aqa Ne Jitna Kharch Mai Kerta Jao Utna Barhta Jaye Hai Jitna Kharch Mai Kerta Jao Utna Barhta Jaye Hai Baksh Dia Aisa Sarmaya Baksh Dia Aisa Sarmaya Mere Pyare Aqa Ne Unka Ziker Kartay Kartay Neend Ali Jab Ai Mujhay Unka Ziker Kertay Kertay Neend Ali Jab Ai Mujhay Mujh Ko Apna Jalwa Dikhaya Mujh Ko Apna Jalwa Dikhaya Pyare Aqa Ne Mangton Ko Sultan Banaya Mangton Ko Sultan Banaya Mere Pyare Aqa Ne

  • Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki Naat Lyrics

    Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki (Sallallahu alahi wa Sallam)

  • Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya Naat Lyrics

    Apni Ata Ka Haq Ne Ye Manzar Dekha Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Kohey Shahe Arab Ka Bana Kar Mujhy Faqeer Shahe Ka Martaba Mery Dil Sey Ghata Diya Esa Karim Esa Sakhi Aur Kon Hey Mangta Jo Aya Mangny Sultan Bana Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Pohncha Diya Khuda Ney Dare Shah Par Humy Allah Ney Ye Naat Ka Acha Sila Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Hum Sey Ziada Kon Hey Dunia Mey Khush Naseeb Hum Ko Khuda Ney Un Ka Sana Khawan Bana Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Rashke Falaq Hey Mery Muqadar Ki Rifatein Mujh Ko Ghulam Un Ka Khuda Ney Bana Diya Ankho Mey Bas Giya Hey Jamale Khuda Riaz Deedar Jab Sey Un Ka Khuda Ney Kara Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya Dil Mera Astane Nabi Par Jhuka Diya

  • Jaisay Meray Sarkar Hein Aisa Nahin Koi Naat Lyrics

    Ab Mere Nigahoon Mein, Jachta Nahi Koi Jaisay Meray Sarkar Hein, Aisa Nahin Koi. Tumsa To Haseen Ankh Nay, Dekha Nahi Koi Yeh Shan E Latafat Hai, Kay Saya Nahi Koi. Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi. Aey Zarfenazar Deikh, Magar Deikh Adab Say Sarkar Ka Jalwa Hai, Tamasha Nahi Koi. Ab Meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi…. Eizaz Yeh Hasil Hai, To Hasil Hey Zameen Ko Aflaq Pay To Gumbad E Khazra Nahin Koyee. Jesay Meray Sarkar Hain Eisa Nahi Koi… Sarkar Ki Rehmat Ney, Magar Khoob Nawaza Yeh Sach Hey Key Khalid Sa Nikama Nahi Koi. Ab Meri Nigahoon Mey Jachta Nahi Koi Jesy Mery Sarkar Hein Esa Nahi Koi.

  • Aankhon Ka Tara Naam E Muhammad Naat Lyrics

    Aankhon Ka Tara Naam E Muhammad Dilka ujaala Naam E Muhammad Puche ga Maula laya hein kya kya Mai ye kahunga Naam E Muhammad Allah U Akbar rab’bul ulaane Har sheh pe likka Naam E Muhammad Dault jo chaaho dona jahaan ki Karlo wazifa Naam E Muhammad Sheda na kyu ho is par musalmaan Rab ko hein pyaara Naam E Muhammad Salle ala ka sehra sajaakar Dulha banaaya Naam E Muhammad Paayi muraade donoh jahaan mein Jisne pukaara Naam E Muhammad Parti durood e doregi hoore Laasha jo lega Naam E Muhammad Roze qayaamat mizana pul par Dega sahaara Naam E Muhammad Bera tabaahi mein aagaya hein Dede sahaara Naam E Muhammad

  • Aaka ko pukar bande aaka pukar Naat Lyrics

    aaka ko pukar bande aaka pukar inshaallah ho jaega tera bera paar aaka ko pukar bande………………. unke hath  me cool kunji hai rab ne unhe mukhtar kiya hum ko unka mangta banaya or unhe sarkar kiya jo sarkar ke dar ka gada hai wo khud hai mukhtar aaka ko pukar bande……………….. kya kehana darbare nabi ka uski shaan hi aali hai har giz na mehrum wo lota us dar ka jo sawali hai aao chale ab suae madina chhor ke sab dharbar aaka ko pukar bande……………….. aala hazarat ne yaro ye sabak hame sikhlaya hai jo gustakhe khuda wa nabi hai apna nahi wo paraya hai ha aise gustakho par maula ki hai fitkar aaka ko pukar bande……………….. kyu gamgin hai tu ae ‘sayyid’ dar par wo bulwaenge ranjo gam sab dur karege soae bhug jagaenge or bhi koy unke siwa hai dukhiyo ka gam-khwar aaka ko pukar bande……………….. apni to pahechan yahi hai apni to hai shaan yahi daman mai kuchh or nahi hai dil mai hai armaan yahi itni parhu me unki naate razi ho  sarkar aaka ko pukar bande……………….. yade nabi me tu ae ‘razwi’ unki midahat karta ja deewaro ka dil bhar aae zom ke naate parhata ja jald madine jaaega tu lagate hai aasar aaka ko pukar bande………………..

  • Munawwar Meri Aankho Ko Mere Shamshudduha Kar De

    Munawwar Meri Aankho Ko Mere Shamshudduha Kar De Ghamo Ko Dhoop Me Wo Saayae Zulfe Dota Kar De Jahaan Bani Ataa Kar De Bhari Jannat Hiba Kar De Nabi Mukhtare Qul Hai Jiss Ko Jo Chahe Ataa Kar De Jahan Me Unki Chalti Hai Wo Dam-me Kya Se Kya Kar De Jameen Ko Aasmaa Kar De Suraiya Ko Sara Kar De Fazaa Me Udne Waale Yu Na Itraye Nida Kar De Wo Jab Chahe Jise Chahe Usme Farma Rawa Kar De Meri Mushkil Ko Yu Aasaa Mere Muskil Kusha Kar De Har Aik Mauje Balaa Ko Mere Maula Nakhuda Kar De Ataa Ho Bekhudi Mujhko Khudi Meri Hawa Kar De Mujhe Yu Apni Ulfat Me Mere Maula Fanaa Kar De Jahaan Me Aam Paighame Shahe Ahmad Raza Kar De Palat Kar Peeche Dekhe Fir Se Tajdeede Wafa Kar De Nabi Se Jo Ho Begana Use Dil Se Juda Kar De Pidar Madar Biradar Maalo Jaan Un Par Fida Kar De Kisi ko Wo Hasaate Hain Kisi Ko Wo Rulaate Hain Wo Yu Hi Aazmate Hain Wo Ab To Faisla Kar De Gile Taibah Me Mil Jau Gulome Milke Khiljau Hayaate Jaavedaani Se Mujhe Yu Aashna Kar De Mujhe Kya Fikr Ho Akhtar Mere Yaawar Hain Wo Yaawar Balao Ko Meri Jo Khud Giraftare Balaa Kar De

  • Yeh Rifat E Zikar E Mustafa Hai Naat Lyrics

    Yeh Rifat E Zikar E Mustafa Hai, Nahi Kissi ka Maqam Aisa Jo Baad Zikr-e-Khuda Hai Afzal Hai Zikar-e-Khair Ul Anam Aisa Dar-e-Nabi Par Yeh Umar Beete Ho Mujhpe Lutf-e-Dawam Aisa Madine Wale Kahain Maqami Ho Unke Dar Par Qayam Aisa Labon pe Naam-e-Nabi Jab Aaya Guraiz Pan Hadson Ko Paya Jo Taal Deta Hai Mushkilon Ko Mere Nabi Ka Hai Naam Aisa Mujhi ko Dekho Woh Betalab hi Nawazte Ja Rahe Hain Paihum Na Mera Koi Amal Hai Aisa Na Mera Koi Hai Kaam Aisa Bilal Tujpar Nisar Jaaon Ke Khud Nabi Ne Tujhe Khareeda Naseeb Ho Tu Naseeb Aisa Ghulam Ho Tu Ghulam Aisa Hain Jitne Aqal-o-Khirad ke Daawe Sab Unki Gard-e-Safar Main Gum Hain Koi Bhi Ab Tak Samajh Na Paya, Hai Mustafa Ka Maqam Aisa Ke Namaz Aqsa Main Jab Parhayi Tu Ambiya-o-Rusool Yeh Bole Ke Namaz Ho To Namaz Aisi Imam Ho To Imam Aisa Main Khalid APne Nabi Pe Qurban Hai Jis ka Khulq-e-Azeem Qura’n Salamti Ki Jo Hai Zamanat Woh Le ke Aaye Nizam Aisa

bottom of page