Arshe Haq he musnade rif’at Rasoolullah ki Dekhni he Hashr me Izzat Rasoolullah ki
Qabr me lehrayenge tha Hasr chashme noor ke Jalwah farma hogi jab tal’at Rasoolullah ki
Kaafiro Par Taighe Waala Se Giri Bakre Ghazab Abr-Aasa Cha Gayi Haibat Rasoolullah Ki
Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unse mila Bat’ti he Kownain me ne’mat Rasoolullah ki
Wo Jahannum me gaya jo Unse mustaghni huwa Hai Khalleelullah ko haajat Rasoolullah ki
Sooraj ulte paaw palte chaand ishaare se ho chaak Andhe Najdi dekhle Qudrat Rasoolullah ki
Tujhse aur Jannat se kya matlab wahabi duur ho Hum Rasoolullah ke, Jannat Rasoolullah ki
Zikr Roke Fazal Kaate Naqs Ka Juya(n) Rahe Phir Kahe Mardak Ke Hu Ummat Rasoolullah Ki
Najdi Usne Tujhko Mohlat Di Ki Iss Aalam Me Hai Kaafiro Murtad Pe Rehmat Rasoolullah Ki
Hum bhikaari Wo Kareem, Unka Khudaa Unse fazoo Aur naa kehna nahee Aadat Rasoolullah ki
Ahle Sunnat ka he bera paar Ashaabe Rasool Najm he aur Naav hai Itrat Rasoolullah ki
Khaaq Ho Kar Ishq Me Aaram Se Sona Mila Jaan Ki AkSeer Hai Ulfat Rasoolullah Ki
Toot jaa-enge gunaahgaro ke fawran qaid-o-bund Hashr ko khuljaaegi Taaqat Rasoolullah ki
Ya Rabb ik saa’at me dhul jaa-e siyaahkaro ke jurm Josh par aa jaaye ab Rehmat Rasoolullah ki
Hai Ghule Baaghe Qudus Rukhsaar E Zeba E Huzoor Sarve Ghulzaar E Qadam Kaamat Rasoolullah Ki
Ae Raza khud Saahibe Quraan hai mud’daahe Huzoor Tujhse kab mumkin he phir midhat Rasoolullah ki
(Sallallahu alahi wa Sallam)