top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

1329 items found for ""

  • Do not return to Allah with regrets, regret here repent here and then return to Allah.

    Do not return to Allah with regrets, regret here repent here and then return to Allah.

  • Zuban se kya mein kahun Naat Lyrics

    Zuban se kya mein kahun Aap se chhupa kya hai Aap jaante hein  Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Nabi ke ishk ki lazzat bilal se puchho Bilal jante hein ishke mustafa kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Kaha khuda ne sare hashr bakhsh di ummat Mere habeeb bata aur chahta kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Gale mein dekha jo patta teri gulami ka Kaha Nakiron ne ab is se puchhna kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Mere huzur ko khud jaisa bolne wale Tu unki zaat ke bare mein janta kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Wo kya batayega quraan ke ramooz bhala Jise pata hi nahin shane mustafa kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai Suna ke neze pe quraan ali ke bete ne Bata diya hai fanah kya hai aur baqa kya hai Wo jante hein mere dil ka majra kya hai

  • The best sadaqah is that a Muslim man learns knowledge (of the Deen) and then teaches it to his Musl

    The best sadaqah is that a Muslim man learns knowledge (of the Deen) and then teaches it to his Muslim brothers.

  • Indeed, Allah will not change the condition of a people until they change what is in themselves.

    Indeed, Allah will not change the condition of a people until they change what is in themselves.

  • Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Naat Lyrics

    Dekhte reh gaye Dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne Iqra to dekha tha jibreel ne Ham toh gaare hira dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Arsh par pahunche aaqa toh ruhe ameen Sidratul muntaha dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Chand do tukde ho kar tasadduk hua Dushmane mustafa dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye Roohe roshan pe zulfein siya dekh kar Ham duha aur saja dekhte reh gaye Jalwa e Wadduha dekhte reh gaye Husne badrudduja dekhte reh gaye

  • Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein Naat Lyrics

    Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein Na kabe ki zameen dekhi na pahunchi mein madine mein Suna hai noor ki barsat hoti hai madine mein Ilahi ! ek chhinta aa lage ham sab ke sine mein Muhammad is tarha tashrif farman hein madine mein Ke jaise sura e yaseen ho qur’aan ke sine mein Muhammad ki judai aag bhadkati hai sine mein Rawan jab dekhti hun kafile hajj ke mahine mein Rahey jate hein ye arman haye mere sine mein Na kabe ki zameen dekhi na pahunchi mein madine mein

  • Tajdare madina ke jalway Naat Lyrics

    Tajdare madina ke jalway Jin ke dil mein samaye hue hein Door reh kar wo pur ba aashna hein Dil madina banaye hue hein Jinko unki tawajjoh ne pala Unki rehmat ne jinko nawaza Un gadaon ka kya puchhte ho Wo zamane pe chhaye hue hein Mere aaqa ki jin par nazar hai Donon aalam ki unko khabar hai Jinka maksood unka hi dar hai Saare asraa wo paaye hue hein Aale at’har ka sadka ata ho Muflisi ka hamari bhala ho Ae sakhi aap ke dar pe ham bhi Damane dil bichhaye hue hein Tees paron mein jo kuchh likha hai Sar ba sar sirate mustafa hai Unki sirat mein jo dhal gaya hai Us pe rehmat ke saaye hue hein Meri aukat kuchh bhi nahin hai Khud meri zaat kuchh bhi nahin hai Mere sarkar ka ye karam hai Baat meri banaye hue hein Aarazu e karam dil mein le kar Khali dil ke sakhi aastan par Angaliyan auliya asfiyan sab Apne kaase badhae hue hein

  • Dikhade ilahi Wo Pyara Madina Naat Lyrics

    Dikhade ilahi wo pyara madina Ilahi bana de madina ye sina Mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna Muhammad muhammad madina madina Chali jis taraf se nabi ki sawari Shajar ne hajar ne di juk kar salami Sabhi kar rahe hein nabi ki gulami Nabi ne sikhaya har ek sha’e ko jina Muhammad muhammad madina madina Khade hein sawali dare mustafa par Wahan koi aala na koi tawangar Chalo aao mange habeebe khuda se Ke hathon mein hai jiske sara khazina Muhammad muhammad madina madina Bulalo madine mein aqa bulalo Gira ja raha hun sambhalo sambhalo Khatakar hun mujko aaqa nibhalo Lagado mera paar aaqa safina Muhammad muhammad madina madina Kiya jab bhi karte the aaqa ibadat To qur’aan karta tha unki tilawat Ye aisa khuda ki kasam mo’jaza hai Mila inke sadke se bakhshish ka zina Muhammad muhammad madina madina Ye aankhon ka rona ye dil ka tadapna Tasawwur mein aaqa ke dar se lipatna Dare mustafa par kahunga mein ja kar Yahin mera marna yahin mera jina Muhammad muhammad madina madina Bulawa jo aaye madine mein jaaun Mein Rashid karam hi karam leke aaun Ba-roze kayamat uthun jab lahad se To mere labon pe ho naara madina Muhammad muhammad madina madina Dikhade ilahi wo pyara madina Ilahi bana de madina ye sina Mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna Muhammad muhammad madina madina

  • Tajdar e Haram Nigaah e Karam

    Kismat mein meri chain se jeena likhde Doobe na kabhi mera safeena likh de Jannat bhi gawara hai, magar mere liye Aye Kaatib-e-Taqdeer, Madina likhde Tajdar-e-Haram, ho Nigaah-e-Karam (x2) Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge Haami-e-bekasaan, kya kahega jahan (x2) Aapke dar se khaali agar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Koi apna nahi gham ke maaray hain hum (x2) Aapke dar pe faryaad laaye hain hum Ho Nigah-e-karam, warna chokhat pe hum (x2) Aapka naam le le ke mar jaayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Kya tumse kahoon aye Arab ke Kunwar Tum jaanat ho mann ki battiyaan Dar-e-furqat toh aye ummi-laqab Kaate na kat ti hai ab rattiyaan Turi preet mein sudh budh sab bisri Kab tak rahegi yeh beqabri Gaahe ba-figan duzdeedah nazar Kabhi sun bhi toh lo hamri battiyaan Aapke darr se koi na khaali gaya (x2) Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya Ho habeeb-e-hazin (x2) par bhi Aaqa nazar Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Maikashon aao aao Madine chalen Aao Madine chalen, Aao Madine chalen Isi mahine chalen, Aao Madine chalen Tajalliyon ki ajab hai fizaa Madine mein Nigah-e-shauk ki hai inteha Madine mein Gham-e-hayat na khauf-e-kazaa Madine mein Namaz-e-ishq karenge ada Madine mein Barah-e-raas hai raahe-e-Khuda Madine mein Aao Madine chalen, Aao Madine chalen Isi mahine chalen, Aao Madine chalen Maikashon aao aao Madine chalen Dast-e-Saaqi-e-Kausar se peene chalen Yaad rakho agar (x2), uth gayi ek nazar Jitne khaali hai sabb jaam bhar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr Sakht mushkil hai Aaqa kidhar jayen hum Ap hi agarr na lenge hamari khabar Hum musibat ke maaray kidhar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram Ya Mustafa, ya Mujtaba, Eraham-lana, Eraham-lana Dast-e-hama, bechara ra Daama tuhi, daama tuhi Mann aasiyam, Mann ajizam Mann bekasam, Haal-e-mara Pursan tuhi, pursan tuhi Aye Mushtub-e-Zumbar fishaan Paike Naseem-e-Sub hadam Aye Charagar Insa-nafas Aye Muliseh beemar-e-gham Aye Qaasid-e-parkhundapaye Tujhko usi gul ki kasam Innil taya ree has saba Yauman ila-ardil-Haram Balligh Salami Roza tann Fi-han Nabi-al-Mohtaram Tajdar-e-Haram, ho nigaah-e-karam Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge Haami-e-bekasaan kya kahe ga jahan Aapke dar se khaali agar jayenge Tajdar-e-Haram, Tajdar-e-Haram

  • Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Naat Lyrics

    Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Ata bhi kese jab allah ne banaya hi nahi Koi sani na hai rab ka na mere aqa ka Ek ka jism nahi ek ka saya hi nahi Zulf Vallayl hai , Rukh Vadduha mazad aakhen Is tarha rab ne kisi ko bhi sajaya hi nahi Aap ne jab se nawaza hai ya Rasulallah Mene daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahi Jisne sarkar ke chehre ki ziyarat ki hai Us ki nazron me koi aur samaya hi nahi Laut kar aa gaya makke se madine na gaya Kese jata tuje aqa ne bulaya hi nahi Jabse darvaze pe likha mene ala hazrat Koi gustakh e nabi ghar mere aya hi nahi Jab talak pusht pe shabbir rahe ae faizy Sar ko sajde se payambar ne uthaya hi nahi

  • Chamak Tujhse Paate Hai Naat Lyrics

    Chamak tujhse paate hai sab paane waale Mera dil bhi chamka de chamkane waale Barasta nahi dekh kar Abre Rehmat Badon par bhi barsa de barsa ne waale Madine ki khitte Khuda tujh ko rakhe Gareebo faqeero ke tahraane waale Tu zinda hai Wallah tu zinda hai Wallah Mere chasme aalam se chup jaane waale Mai mujrim hu Aaqa mujhe saath le lo Ke raste me hai jaa baja thaane waale Tera khaye tere gulamo se uljhe Hai munkir ajab khaane ghurraane waale Rahe ga yuhi unka charcha rahega Pade khaak ho jaye jal jaane wale Raza nafs dushman hai dum me na aana Kaha tu ne dekhe hai chand raane waale

  • Karam ke baadal baras rahe hai

    Karam ke baadal baras rahe hai Dilo ki kheti hari bhari hai Yeh kaun aaya ke zikr jiska Nagar nagar hai gali gali hai Yeh kaun ban kar qaraar aaya Ye kaun Jaan e Bahaar aaya Gulo ke chehre hai nikhre nikhre Kali kali me shaguftagi hai Diye dilon ke jalaaye rakhna Nabi ki mehfil sajaaye rakhna Jo Rahat e Dil sukoon e Jaan Hai Wo Zikr Zikr e Mohammadi Hai Nabi ko apna khuda na maano Magar khuda se juda na jano Hai ahle Imaan ka yeh aqeeda Khuda khuda hai nabi nabi hai Na maango duniya ke tum khazeene Chalo niyazi chale Madine Ke baadshahi se badh ke pyaare Nabi ke dar ki gada gari hai

bottom of page