Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Ata bhi kese jab allah ne banaya hi nahi Koi sani na hai rab ka na mere aqa ka Ek ka jism nahi ek ka saya hi nahi Zulf Vallayl hai , Rukh Vadduha mazad aakhen Is tarha rab ne kisi ko bhi sajaya hi nahi Aap ne jab se nawaza hai ya Rasulallah Mene daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahi Jisne sarkar ke chehre ki ziyarat ki hai Us ki nazron me koi aur samaya hi nahi Laut kar aa gaya makke se madine na gaya Kese jata tuje aqa ne bulaya hi nahi Jabse darvaze pe likha mene ala hazrat Koi gustakh e nabi ghar mere aya hi nahi Jab talak pusht pe shabbir rahe ae faizy Sar ko sajde se payambar ne uthaya hi nahi
top of page
نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے
Recent Posts
See Allمقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...
رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ...
bottom of page