top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

1329 items found for ""

  • یا رب ہے بخش دینا بندے کو کام تیرا – Ya Rab Hai Baksh Dena Banday Ko Kaam Tera Urdu Naat Lyric

    یا رب ہے بخش دینا بندے کو کام تیرا محروم رہ نہ جائے کل یہ غلام تیرا ہے تو ہی دینے والا پستی سے دے بلندی اسفل مقام میرا اعلیٰ مقام تیرا شمس الضحیٰ محمد بدرالدجیٰ محمد ہے نورِ پاک روشن ہر صبح و شام تیرا محروم کیوں رہوں میں جی بھر کے کیوں نہ لوں میں دیتا ہے رزق سب کو ہے فیض عام تیرا یہ داغ بھی نہ ہوگا تیرے سوا کسی کا کونین میں ہے جو کچھ وہ ہے تمام تیرا ایمان کی کہیں گے ایمان ہے ہمارا احمد رسول تیرا مسحف کلام تیرا

  • سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے – Sarkar ka Karam hai Urdu Naat Lyrics

    سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے یہ ناز یہ انداز ہمارے نہیں ہوتے جھولی میں اگر ٹکڑے تمہارے نہیں ہوتے ملتی نہ اگر بھیک حضور آپ کے در سے اس شان سے منگتوں کے گزارے نہیں ہوتے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے کتنا بڑا ہے مجھ پہ یہ احسانِ مصطفی کہتے ہیں لوگ مجھ کو ثناء خوانِ مصطفی سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے ہے سامنے نگاہ کے روضہ حضور کا عالم نہ پوچھیے میرے کیف و سرور کا معلوم ہے مجھے میری اوقات کچھ نہیں لیکن میں جو بھی کچھ ہے کرم ہے حضور کا سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے مانگے نہ مانگے بھیک یہ مرضی فقیر کی بن مانگے مل رہا ہے سرکار کی گلی میں سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے تیری رحمتوں کا دریا سرِ عام چل رہا ہے مجھے بھیک مل رہی ہے میرا کام چل رہا ہے میرے دامنِ گدائی میں بھیک مصطفی کی اِسی بھیک پر تو قاسم میرا کام چل رہا ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے نبیوں میں نبی آپ سا دیکھا نہیں کوئی اللہ کے محبوب سے اونچا نہیں کوئی کس پر نہیں آقا کا کرم کوئی بتائے اللہ کی قسم ایسا تو دیکھا نہیں کوئی سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے مجھے آپ نے بلایا یہ کرم نہیں تو کیا ہے میرا مرتبہ بڑھایا یہ کرم نہیں تو کیا ہے قربان جاوٴں تیرے یہ شرف بڑا شرف ہے مجھے نعت خواں بنایا یہ کرم نہیں تو کیا ہے سرکار کا کرم ہے سرکار کا کرم ہے

  • Aye Hasnain Ke Nana Naat Lyrics

    Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Zahra paak ke sadqe humko Taiba me bulana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Aap ke dar ka mai hu bhikari Aap hai mere daata Saare rishte naato se hai Pyaara apna naata Aap to hai aata hai jinko sabki laaj nibhana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Be saaya hai lekin woh Jag par hai aapka saaya Arshe moh`alla bana mohalla Deed ko Rab ne bulaya Hasr tak na hoga kisika Aisa aana jana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Sajh gayi hai meelad ki mehfil Kya hai khoob nazara Kaifo masti me dooba hai Dekho aalam saara Dhund rahi aap ki rehmat Bakshish ka bahaana Aye Hasnain ke nana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana Nisbat ka faizan hai dekho Khadim e Gaus e Jali hu Karta hai mujh pe naaz zamana Mai Ausaat e Ali hu Aap ki aal ke dar ka sag hu Aur saahil hu purana Ya Nabi nazre karam farmana Aye Hasnain ke nana

  • Madinay key waali Madinay bula lo Naat Lyrics

    Madinay bula lo Madinay key waali (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Yeh peyghaam ley ja saba jatay jatay HaN peygham lana meri haazri ka Barahey karam mehrbaN atay atay Teray dar peh aauN mey ban kar sawli Rahey saamney Teray Rowzay ki jali GhareeboN key Mowla yateemoN key waali Bari deyr kar di bulatay bulatay Idhar bhi nighahey karam ho Khudara Kabhi to muqadar ka chamkey sitara Meri umr guzri Teri barghah mey DuaoN ka daman bichatey bichatey Mey Teri sakhawat peh qurbaan jaun Mey kyun na Teray Dar peh daman bichauN Teray haath thaktey nahi Kamli waley Karam key khazaney lutatey lutatey Muqdar mey meray bhi aysi gadi ho Fizaey Haram ho diyare Nabi ho Darey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) peh meri haazri ho Nadamat keh ansuN bahatey bahatey Kabhi khanaey dil mey tashreef laein Bari deyr sey muntazir hai nighaein Bara saat mera diya ansuoN ney Meray dil ka angan sajatey sajatey Madinay bula lo Madinay key waali Yeh peyghaam ley ja saba jatay jatay HaN peygham lana meri haazri ka Bara hay karam mehri baN atay atay

  • Too Shamme Risaalat He Aalam Tera Parwana Naat Lyrics

    Too Shamme Risaalat He Aalam Tera Parwana Too Maahe Nabuwat He Aai Jalwa-E-Ja Na Nah Jo Saakiye Kausar Ke Chehre Se Naqaab Uthe Har Dil Bane Maikhana Har Aankh Ho Paimana Dil Apne Chamak Uthe Imaan Ki Tal?At Se Kar Aankh Bhi Noorani Ai Jalwa-E Ja Na Na Tum Aye Chati Baazi Ronak Huwi Phir Taazi Kaaba Huwa Phir Kaaba Kar Daala Tha But Khana Kyu Zulfe Muambar Se Kooche Na Mahak Uthe He Panja Qudrat Jab Zulfo Ka Tere Shaana Is Dar Ki Huzoori Hi Isya Ki Dawa Teri He Zehre Muaasi Ka Taybah Hi Shifa Khaana Har Pool Mein Boo Teri Har Sham-A Mein Zau Teri Bulbul He Tera Bulbul Parwana He Parwana Peetein He Tere Dar Ka Khate He Tere Dar Ka Pani He Tera Pani Dana He Tera Dana Sange Dar Jaana Par Karta Hoon Jabhi Saa?I Sajda Na Samj Najdi Sar Deta Hoon Nazrana Woh Kehte Na Kehte Kuch Woh Karte Na Karte Kuch Ai Kash Who Sun Lete Mujh Se Mera Afsana Abaad Isse Farma Wiraan Hai Dille Noori Jalwe Tere Bas Jaye Abaad Ho Wiranaa Sarkaar Ke Jalwo Se Roshan He Dille Noori Ta Hashr Rahe Roshan Noori Ka Ye Kaashana

  • Rehmat Ka Dar Khula Hai Darbar e Mustafa Me Naat Lyrics

    Rehmat ka dar khula hai Darbar e Mustafa me Bakhshish ka silsila hai Darbar e Mustafa me Khamoshiyo ko meri sunte hai Sarwar e Deen Bin maange mil raha hai Darbar e Mustafa me Ab dil ki dhadkane hai Sarkar ke hawaale Aawaz kab rawa hai Darbar e Mustafa me Subh o Masa farishte aate hai haazri ko Noorani qafla hai Darbar e Mustafa me Ek bheeni bheeni khushboo saanso me bas gayi hai Dil bhi mehak raha hai Darbar e Mustafa me Mai arz kar raha hu sarkar sunn rahe hai Kaisa haseen samaa hai Darbar e Mustafa me Salle Ala Nabiyyina Salle Ala Muhammadin Sab ki yahi sadaa hai Darbar e Mustafa me Kaisi azeem neh’mat paayi hai tune Rizwan Tu naat padh raha hai Darbar e Mustafa me

  • شب برات کی رات ایک آسان سا عمل جس سے رزق کے دروازے آپ پر کھل جائیں گے

    شعبان کی پندرھویںشب جو شخص دو رکعات نماز نفل پڑھے پھر ہر رکعات میں سورة فاتحہ کے بعد آیت الکرسی ایک بار اور سورة اخلاص پندرہ پندرہ بار پڑھے اور پھر سلام پھیرنے کے بعد 100مرتبہ درود شریف پڑھ کر ترقی رزق کی دعا کرے تو انشاءاللہ اس نماز کی برکت سے اسکے رزق میں ترقی ہو جائے گی ۔ Shabe Barat ki raat ek aasan sa amal jisse rizq ke darwaze aap apr khul jaenge shaban ki 15 (pandh’rahvin) shab jo shakhsh do (2) rak’at namaz nafl padhe fir har rak’at mein surah Al-Fatiah ke baad Ayatu’l Kursi ek (1) baar aur Surah Ikhlaas padhe aur fir salam pherne ke baad sa’w (100) martaba darud sharif padh kar taraqqi rizq ki du’a kare to insha allah is ki namaz ki barkat se iske rizq me taraqqi hojaegi

  • Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Naat Lyrics

    Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Saare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja Haidar ka ladala hai Woh Zahra ka laal hai Beshak mera Moin Muhammad ki aal hai Deewanon ko kis baat ka Akhir malaal hai Khwaja ko apni praja ka Pura khayal hai Moinuddin Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja Har ankh chahti hai Ziyarat Moin ki Har dil me bas gayi hai Mohabbat Moin ki Iss Sarzamin e Hind ke Shahon ne keh diya Mehshar tak rahegi Chahat Moin ki Moinuddin Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja Ham garibon ki sadaon Ne bulaya hai tujhe Hind ka shah Muhammad ne Banaya hai tuje Kaise aayega koi Harf hukumat pe teri Panjatan paak ne kursi par Bithaya hai tuje Moinuddin Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja Pyaara hai Hasnain ka Beshak Nabi ki aal hai Sanjar wala peer mera Saiyyada ka laal hai Mast hai mastan hai Har haal mai khushal Chishtiya daaman ko joh pakda Woh maalamaal hai Moinuddin Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja Tu bardabar ki thokare Ik baar khake dekh Milta hai kya kisi se Zaraa aazmake dekh Tu jin se mil raha hai Yeh saare ghulam hai Raja ko dekhna hai Toh Ajmer jaake dekh Moinuddin Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja Dar e Khwaja pe sawali ko Khada rehne do Sar nadamat se juka hai Toh juka rehne do Mujko mil jaaye ga sadka Mai chala jaunga Kasa e Dil mera kadmo me Pada rehne do Khud hi farmayenge mujrim pe Woh rehmat ki nazar Mujko Khwaja ki adalat me Pada rehne do Moinuddin Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

  • Dikhaya joh taiba ka mujko nazara Naat Lyrics

    Dikhaya joh taiba ka mujko nazara Atah karde bakshish ka muzada khudara Ye ummat ki kashthi bhawar mey fasi hai Mile isko Reham o Karam ka kinaara Hamare saro se chatte gum ke baadal Karo aap gar ungaliyon se isharaa Base mere dil me Shahedi ki ulafat Tumare liye Jaan kar du nisaara Hai peshe nazar tere rauze ki jaali Karam karde aasi aakha khudara Meri rooh tanse juda jab ke howe Karu Waqt e Rukasat bhi tera nazara Sawar jaye Shakir ki qisamat yakinan Agar aap kheha do ke tu hai hamara

  • Nothing is truly permanent in this world. people die. memories fade. perspectives shift. so don’t wo

    Nothing is truly permanent in this world. people die. memories fade. perspectives shift. so don’t worry, it will pass.

  • Ya Ilahi Har Jagah Teri Ata Ka Sath Ho Naat Lyrics

    Ya Ilahi Har Jagah Teri Ata Ka Sath Ho Jab Pade Mushkil Shah-e-Mushkil Kusha Ka Sath Ho Ya Ilahi Bhul Jaoo Naz’a Ki Taklif Ko Shadi-e-Didare Husne Mustafa Ka Sath Ho Ya Ilahi Gor-e-Tira Ki Jab Aae Sakht Raat Un Ke Pyare Muh Ki Subhe Ja Fiza Ka Sath Ho Ya Ilahi Jab Zabane Bahar Aae Pyas Se Sahib-e-Kausar Shah-e-Joodo Ata Ka Sath Ho Ya Ilahi Garmi-e-Mehshar Se Jab Bhadke Badan Daman-e-Mehboob Ki Thandi Hava Ka Sath Ho Ya Ilahi Nama-e-A’mal Jab Khulne Lage A’ab Posh-e-Khalk Sattar-e-Khata Ka Sath Ho Ya Ilahi Jab Shar-e-Shamsir Par Chalna Pade Rabb-e-Sallim Kehne Vale Gham Zuda Ka Sath Ho Ya Ilahi Jab RAZA Khvab-e-Ghira Se Sar Uthae Daulate Bedar e Ishke Mustafa Ka Sath Ho

  • Naatein Sarkar ki parta hu main Naat Lyrics

    Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi Ik tera naam waseela hai mera Ranj o Gum me bhi issi naam se rahat hogi Yeh suna hai ke bohot ghor andheri hogi Qabar ka khowf na rakna aye dil Waha Sarkar ke chehre ki ziyarat hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi Unko Mukhtar banaya hai mere Maula ne Khuld me bas wahi ja sakta hai Jisko Hasnain ke baba ki ijazat hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi Hashr ka din bhi ajab dekhne wala hoga Zulf lehra ke woh jab aayenge Phir Qayamat me bhi ik aur Qayamat hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi Mera daaman toh gunaho se bhara hai Altaf Ik sahara hai ke mai unka hu Issi nisbat se Sar e Hashr Shifa`at hogi Naatein Sarkar ki parta hu mai Bas issi baat se ghar me mere rehmat hogi Yeh naam koi kaam bigharne nahi deta Bhigri bhi bana deta hai bas Naam e Mohammad Ik tera naam waseela hai mera Ranj o Gum me bhi issi naam se rahat hogi

bottom of page