top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Naat Lyrics

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Saare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

Haidar ka ladala hai Woh Zahra ka laal hai Beshak mera Moin Muhammad ki aal hai

Deewanon ko kis baat ka Akhir malaal hai Khwaja ko apni praja ka Pura khayal hai Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

Har ankh chahti hai Ziyarat Moin ki Har dil me bas gayi hai Mohabbat Moin ki Iss Sarzamin e Hind ke Shahon ne keh diya Mehshar tak rahegi Chahat Moin ki Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

Ham garibon ki sadaon Ne bulaya hai tujhe Hind ka shah Muhammad ne Banaya hai tuje Kaise aayega koi Harf hukumat pe teri Panjatan paak ne kursi par Bithaya hai tuje Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

Pyaara hai Hasnain ka Beshak Nabi ki aal hai Sanjar wala peer mera Saiyyada ka laal hai Mast hai mastan hai Har haal mai khushal Chishtiya daaman ko joh pakda Woh maalamaal hai Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

Tu bardabar ki thokare Ik baar khake dekh Milta hai kya kisi se Zaraa aazmake dekh Tu jin se mil raha hai Yeh saare ghulam hai Raja ko dekhna hai Toh Ajmer jaake dekh Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

Dar e Khwaja pe sawali ko Khada rehne do Sar nadamat se juka hai Toh juka rehne do Mujko mil jaaye ga sadka Mai chala jaunga Kasa e Dil mera kadmo me Pada rehne do Khud hi farmayenge mujrim pe Woh rehmat ki nazar Mujko Khwaja ki adalat me Pada rehne do Moinuddin

Kursi par koi bhi baithe Raja toh mera Khwaja hai Sare hind ka hai raja Mera Khwaja Maharaja

347 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...

Rasool e Paak ki Chahat Abu Bakar Siddiq

رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ...

bottom of page