top of page
Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

HAR NAZAR KANP UTHEGI MEHSHAR KE DIN

Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Har nazar kanp utthegi maheshar ke din

Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga

Maujh takra ke hum se chalee jayegi Rukh mukhalif hava ka badal jaayega Jab ishaara karenge wo naa khuda Apna bera bhanvar se nikal jaayega Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga

Yuu to jeeta hu hukme khuda se magar Mere dil ki hai unko yaqinann khabar haasile zindagi hoga wo din mera Unke kadmon mein jab dam nikal jaayega Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega

Rabbi sallim wo farmaane wale mile Kyun satate hai eh dil Tujhe waswase Pul se ghuzrenge hum vajd karte huwein Kaun kehta hai paau fisal jayega Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga

Akhtare khasta kyun itna beychen hai Tera aaqa shehenshahe kaunain hai

Lou laga to sahin shahe laulaaq se gham masarrat ke saanche me dhal jayenga Har nazar kanp utthegi maheshar ke din Khauf se har kaleja dehel jaayega Par ye naaz un ke bande ka dekhenge sab Thaamkar unka daaman machal jaayenga

Recent Posts

See All
bottom of page