top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

HAMARAY MAULA HAMARAY AAQA IMAM-E-AZAM ABU HANIFA

Hamaray Aaqa hamaray Maula Imam e Azam Abu Hanifa Hamaray Muljaa hamaray Maa’wa Imam e Azam Abu Hanifa

Tum hi ko Maana, Tum hi ko Jana, Tumhi tou Sub k Imam Thehray Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa

Zamanay bhar ne Zamanay bhar mein bohat tajassus kia hay lekin Mila na koi Imam Tum sa Imam e Azam Abu Hanifa

Tumharay Aagay Tamam Aalam na kiun karay Zaano e Adab Kham Kay Peshwayaan-e-Deen-e-Baala Imam e Azam Abu Hanifa

Na Kiun karain Naaz AhleSunnat kay Tum se Chamka Naseeb-e-Ummat Siraj e Ummat Mila ho Tumsa Imam e Aazam Abu Hanifa

Hua Uloo al-Amr se ye Sabit kay teri Taa’at zaroor wajib Khuda ne tum ko kia hamra Imam e Azam Abu Hanifa

Siraaj Tu hay baghair teray jo koi samajhe Hadees o Quraan Phiray batakhta na paaey rasta Imam e Azam Abu Hanifa

Jo Teri Taqleed shirk hoti, Muhaddiseen Saaray hotay Mushrik Bukhaari-o-Muslim Ibn Majah Imam e Azam Abu Hanifa

Ye jitnay Fuqaha Muhaddiseen hain, Tmharay Khirman se Khosha Cheen hain wo Wastay se ye Bay Waseela Imam e Azam Abu Hanifa

Khabar le Ae Dastageer e Ummat Hay Saaiq e Be khabar pe Shiddat Wo Tera ho kar phiray bathakta Imame Azam Abu Hanifa

7 views

Recent Posts

See All

شہر نبی ﷺ تیری گلیوں کا

Shehre Nabi ﷺ Teri Galiyo Ka Nakhsha Hi Kuch Aisa Hai Khuld Bhi Hai Mustaq Ziyarat Jalwa Hi Kuch Aisa Hai Dil Ko Sukun De Aankh Ko...

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام دنیا کے بادشہ بھی اسی در کے ہیں غلام تیرا غلام وہ کہ جو شاہوں کو بھیک دے نسبت نے دے دیا ہے بلندی کا...

bottom of page