Aamal Nahin Kuch Bhi Yeh Haal Hamara Hai Bas Aap Ki Rehmat Ka Sarkar Sahara Hai
Dooba Hun Gunahon Main, Sarkar Karam Karna Rahmat Bhi Tumhari, Banda Bhi Tumhara Hai
Ay Maut Zara Ruk Ja, Kiya Itni Bhi Jaldi Hai Aankhon Main Abhi Meri, Taiba Ka Nazara Hai
Chahay Yeh Jahan Chootay, Chahay Yeh Jahan Roothay Tootay Na Shaha Tum Say, Rishta Jo Hamara Hai Tootay Na Meray Maula, Rishta Jo Hamara Hai
Hai Passt Agar Qismat, Ghabra Na Amin Aasi Woh Jeet Gaya Mehshar, Duniya Main Jo Hara Hai
Taufeeq Mujhay Di Hai, Duniya Main Jo Naatoun Ki Mehshar Main Bhi Keh Dena, Furqan Hamara Hai