Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Ankhon mein maazagh ka surma Sar par taaj Warafa’na ka Husn-e-mujassam Allahu akbar
Subh-e-azzal hai Mukhra un ka Shaam-e-awad hai Zulf ka saya Unse hua har qalb munawwar
Mehndi lagaon ghar ko sajaon Main angan mein naachon gaaon Tann mann waaron Unke Charan par
Aao sakhio mill kar gayein Apne Piya ka jashn manayein Salli ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar
Rim jhim barse noor ki barkha Aaya hai mi’raj ka Dulha Dharti aur aakaash se behtar
Dosh pe youn Gesu lehraye Bheeni bheeni khusboo aye Rang-o-nighat saara manzar
Amina Bi ka Raaj Dulara Kitna anokha kitna pyaara Chaand uttar aaya hai zameen par
Ban ke shab-e-miraaj mein Dulha Pohnche jab aflaak pe Aaqa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) Naghma tha har eik ki zuban par
Tall jaayegi saari musibat Aa jaye ga dor-e-rahat Ab to mujhe dekheinge nazar bhar
Anjum bekass Aap ka mangta Dijiye bakshish jagg ke Data Boond hoon main aur Aap samandar
Aaj Muhammad (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) aye moray ghar Salle ‘alaa ki dhoom hai ghar ghar