top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam

ya khuda jism mein jab tak yeh mere jaan rahe tujhpe sadke tere mehboob pe qurbaan rahe kuch rahe ya na rahe par yeh dua hai ke ameer niza ke waqt salaamat mera imaan rahe

meri chashme alam namnaak karde mujhe aalaishon se paak karde mujhe kuch bhi nahi darkaar ya rab ghulam e sayyid e laulaak karde

zubaan par jab muhammad mustafa ka naam aata hai badi taskeen hoti hai bada aaraam aata hai muhammad mustafa ka naam bhi kya isme aazam hai jahaan koi na kaam aaye wahaan yeh kaam aata hai

taazeem se leta hai khuda naam e muhammad kya naam hai aye salle allah naam e muhammad allah kare uspe haraam atishe do zakh jis shakhs ke ho dil pe likha naam e muhammad

khuda ka noor tujh mein hu ba hu hai khuda pinha magar tu ru ba ru hai teri azmat ka andaaza ho kisko khuda hai aur khuda ke baad tu hai

ya nabi noor hi tum jalwa e yazdaan ki kasam jaise tum ho nahi aisa koi imaan ki kasam

isa ko bhi dekha musa ko bhi dekha haroon ki bhi dekha par koi nahi aisa jaise tum ho

phire zamaane mein chaar jaanib nigar e yakta tumhi ko dekha haseen dekhe jameel dekhe par ik tumsa tumhi ko dekha

tumhara saani rasaalat mein aab ho na saka tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin koi bhi saahib ul mulk ki taab ho na saka

aam hain rehmatein zamaane par rehmaton ka koki jawaab nahi tere qurbaan ya rasool allah tera konain mein jawaab nahi

aisa tujhe khaalik ne tarahdaar banaaya yusuf ko tera taalib e deedaar banaaya konain banaaye gaye sarkaar ki khaatir konain ki khaatir tumhein sarkaar banaaya

martaba haq se kisi aur ko aisa na mila taaj khusro ki kasam takht e suleiman ki kasam

dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen shah e yasrabi tere husn ki kise taab jo kare humsareen na gulon mein aisi shaguztabi na yeh rang o bu yeh taazgi yeh anokhi chhab yeh nayi phaban yeh adaayein pyaari yeh saadgi teri misl koi hua na ho tere sadke jaaun pyare nabi

arbaab e nazar ko koi aisa na milega banda toh mil hi jaayega maula na milega taareekh agar dhoondhegi saani e muhammad saani toh badi cheez hai saaya na milega

roya shab e hijra mein bahut ashq bahaaya itne mein musavvir ko zara reham jo aaya nakshe kayin tasvir ke woh saamne laaya bola ke yeh isa hain yeh yusuf yeh musa maine kaha inmein se kisi par nahi shaida jab saamne wo laaya woh shabeehe shah e waala besaakhta us waqt zubaan se meri nikla mukh chand badr shah shaani e maththe chamke laat nooraani e kaali zulf te ankh mastaani e makhmoor ankhi in madd bhariyaan teri soorat nu main jaan aakhan jaan aage jaan jahaan aakhan sach aakhan te rabb di shaan aakhaan jis shaan toh shaanan sab baniyan subhaanallah mah ajmal ka mah aasan ka mah akmal ka kithe mehar ali kithe teri sana gustaakh ankhi kithe jaa lariyan

dono aalam mein nahi koi bhi tum jaisa haseen maahe taaba ki kasam mehar e darakhshaah ki kasam

ya muhammad teri soorat hai khuda ki soorat log bante hain wali unki ghulami se fana ghaus ul azam ki kasam hind ke sultan ki kasam

56 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...

Rasool e Paak ki Chahat Abu Bakar Siddiq

رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ...

bottom of page