Aie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai.
Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Taiba Ke Jane Wale Taiba Kay Jaane Walay Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara Dono jahan mein iska, hai app hi sahara Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai
Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai
Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2 Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana
Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn, Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn, Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.
Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Teiba Ke Jane Vale Taiba Kay Jaane Walay
Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara
Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay.
Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say
Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say. Taiba Ke Janay Wale Taiba Ke Janay Wale
Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.
Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.
Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say
Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say. Taiba Ke Janay Wale Taiba Ke Janay Wale