Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Paak Ka Hum Nazara Kareingay Waheen Per Jiyeingay Waheen Per Mareingay Waheen Zindagi Bhar Guzara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Who Jiski Chamak Se Chamakta Hai A’alm Nigahon Ko Roshan Jou Karta Hai Peyhum Muqaddar Se Miljaye Woh Sabz Gumbad Tou Jee Bharke Uska Nazara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Paregi Muwaja Pe Jis Dum Nigahein Rawa Ashq Hongay Bhareingay Hum Aahein Machaltay Bhilaktay Huay Aapko Hum Dou Aalam Ke Daata Pukara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Ajab Kaifiyat Uss Ghari Dil Ki Hogi Jabeen Jab Dar-E-Yaar Per Apni Hogi Dua Ye Kareingay Ke Thum Jayein Ghariyaan Yehi Aakhri Buss Nazara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Kabhi Jaake Dekheingay Jannat Ki Kiyari Woh Mimber Jahan Aab-E-Kausar Hai Jaari Woh Khutbaat-E-Aaqa Ka Pur Kaif Manzar Tasawwur Mein Uska Nazara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay
Dar-E-Pak Per Roz Jaya Kareingay Sa’dat Ki Me’raj Paya Kareingay Yunh Imaan Har Roz Apna Musafir Sanwaara Kareingay Nikhara Kareingay
Madinay Bulana Humein Jaan-E-Aalam Dar-E-Pak Ka Hum Nazara Kareingay