top of page
Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Duniya Ke Aye Musafir

Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai Tai kar raha hai jo tu do din ka yeh safar hai Jab se bani hai duniya aaye hazaro laakho Baaki raha na koi mitti me sab samaye Iss baat ko na bhulo sabka yahi hashar hai Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Mahalo me sone wale mitti me so rahe hai Shaho gadha yaha sab ek saath so rahe hai Dono huye barabar yeh maut ka asar hai Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

Aankho se tune apni janaze dekhe Haatho se tune apne dafnaye kitne murde Anjam se tu apne kyu itna bekhabar hai Duniya ke aye musafir manzil teri qabar hai

49 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...

bottom of page