Taiba ke jaane wale Naat Lyrics

Aie gunbad e khazra kay makeen, Meri madad ker Ya phir yeh bata, Kon mera teray siwa hai.

Taiba ke jaane wale, Jakar baray aadab say
 

 
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
 

 
Taiba Ke Jane Wale
 

 
Taiba Kay Jaane Walay
 

 
Kehna kay shah e aali, eik ranj o gham ka mara
 

 
Dono jahan mein iska, hai app hi sahara
 

 
Halaat e pur aalam say, har dam guzar raha hai
 

 
Aur kanptay labhoon say, faryaad ker raha hai

Baaray gunah apna, hai dosh per uthaye
 

 
Koi nahin hai aisa, jo puchanay ko aiye
 

 
Bhatka hua musafar manzil ko dhundta hai
 

 
Tarikiyoon mein mah e kamil ko dhundta hai

Senay mein hai andhera, dil hai siyah khana x2
 

 
Yeh sab meri haqeeqat sarkar ko sunana

Kehna meray Nabi say, mehroom hoon khushi say, sar per eik abray gham hai
 

 
Ashkoon say aankh naam hai, pamale zindagi hoon, sarkar ummati houn,
 

 
Ummat kay rehnuma ho, kuch arz e hal sunlo, faryaad ker raha houn,
 

 
Mein dil figar kab say, mera bhi kisa e gham kehna shahe arab sai.

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
 

 
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
 

 
Teiba Ke Jane Vale
 

 
Taiba Kay Jaane Walay

Kehna kay kha raha houn, mein thokarein jahan mein
 

 
Tum hee batao aaqa, jaoon bhala kahan main
 

 
Mehsoos ker raha houn, duniya hai aik dhoka
 

 
Matlab kay yaar hain sab, koi nahin kisi ka
 

 
Kis ko mein apna janoon, kis ka main loun sahara
 

 
Mujko to meray aaqa hai aap ka sahara

Tum hi suno gay meri, tum hee karam karo gay Dono jahan mein tumhi, mera bharam rakho gay.

Tum daad kha e alam, mein eik naseeb e barham
 

 
Tum bay kasoun kay wali, main bay nawas wali
 

 
Tum aasiyoon ka yaara, mein gardishoon ka mara
 

 
Rehmat ho tum sarapa, main murtiqam khata ka
 

 
Houn sharam sar apnay, aamal kay sabab say
 

 
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
 

 
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say.
 

 
Taiba Ke Janay Wale
 

 
Taiba Ke Janay Wale

Aie aazam e madina, jaa kar Nabi say kehna
 

 
Soz e gham e aalam say, aab jal raha hai seena
 

 
Kehna kay dil mein lakhoon armaan bharay huay hain
 

 
Kehna kay hasratoon kay nashtar chubhay huey hein
 

 
Hai arzoo yeh dil ki, mein bhi madinay jayoun
 

 
Sultan e dojahan ko, sab dagh e dil dikhoon.

Katoun hazar chakar, taiba ki har gali kay Youn hee guzar doun mein, aayam zindagi kay.

Phooloon pay jaan nisaroon, katoun pay dil ko waroun
 

 
Zaroun ko doun salami, dar ki karoun ghulami
 

 
Deewar o dar ko choumoon, qadmoon pay sar ko rakh doon
 

 
Mehboob say lipat kar, rota rahoun bara ber
 

 
Aalam kay dil mein hai yeh, hasrat najanay kab say
 

 
Mera bhi kisa e gham, kehna shah e arab say

Taiba kay janay walay, Jakar baray aadab say
 

 
Mera bhi kisa e gham, Kehna shah e arab say.
 

 
Taiba Ke Janay Wale
 

 
Taiba Ke Janay Wale

    8070
    0