Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi Naat Lyrics

Mustafa aap ke jesa koi aaya hi nahi
 
Ata bhi kese jab allah ne banaya hi nahi
 

 
Koi sani na hai rab ka na mere aqa ka
 
Ek ka jism nahi ek ka saya hi nahi
 

 
Zulf Vallayl hai , Rukh Vadduha mazad aakhen
 
Is tarha rab ne kisi ko bhi sajaya hi nahi
 

 
Aap ne jab se nawaza hai ya Rasulallah
 
Mene daman kisi chokhat pe bichhaya hi nahi
 

 
Jisne sarkar ke chehre ki ziyarat ki hai
 
Us ki nazron me koi aur samaya hi nahi
 

 
Laut kar aa gaya makke se madine na gaya
 
Kese jata tuje aqa ne bulaya hi nahi
 

 
Jabse darvaze pe likha mene ala hazrat
 
Koi gustakh e nabi ghar mere aya hi nahi
 

 
Jab talak pusht pe shabbir rahe ae faizy
 
Sar ko sajde se payambar ne uthaya hi nahi

    1050
    1