top of page
Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Yeh zameen jab na thi yeh jahaan jab na tha

Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo

Malik ul mulk lashareeka lahoo Wahadahoo laa ilaahaa illaahoo

Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo

Yeh zameen jab na thi yeh jahaan jab na tha Chaand suraj na thay aasman jab na tha Raaz-e-haq bhi kisi per ayaan jab na tha Tab na tha kuch yahaan tha magar tu hee tu

Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo

Sana bashar k liyeah bashar sana k liyeah Tamaam hamd sazawaar hai khuda k liyeah Ata k samnay yarab khata ka zikar he kya Tu ata k liyeah hai bashar khata k liyeah

Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo

Kiyoon piyaa ibn-e-haidar nay jaam-e-fanaa Khaal khichwai tabraiz ne kiyoon bhala Daar per charh ke mansoor nay kia kaha Sab banatay khilonay lay raha tu he tu

Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo

Laa ilaahaa teri shaan ya wahdahoo Tu khayaal-o-tajassus tu he aarzoo Aankh ki roshni dil ki awaaz tu Tha bhi tu, hai bhi tu, hoga bhi tu hee tu

Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo Allah Hoo, Allah Hoo, Allah Hoo

Recent Posts

See All
Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ...

 
 
bottom of page