Tu aie aankh khoob ro, ab yeh aansoo na thamein, Qasam hai Sarwar e Aalam per ronay kay haq ki.
Khindaf kay behtarein farzand per aansoo baha, Jo gham o aalim kay hajoom mein sar e shaam gosha e aafiyat mein chupa diya gaya.
Malik o mulk badshah aalamm bandoon ka wali, Aur parwardigar Ahmad e Mujtaba per salaam o rehmat bhejay.
Ab kaisi zindagi, jo habib hi bichar gaya, Aur woh na raha jo zinat woh aik aalam tha.
Kaash mout aati to hum sab ko aik saath aati, Aakhir hum sab iss zindagi mein bhi saath hi thay.