Mujhe Dar Pe Phir Bulana Madani Madine Wale Ma E Ishq Bhi Pilaana Madani Madine Wale
Meri Aankh Me Samaana Madani Madine Wale Bane Dil Tera Thikaana Madani Madine Wale
Teri Jab Ke Deed Hogi Jabhi Meri Eid Hogi Mere Khwaab Me Tum Aana Madani Madine Wale
Mujhe Sab Sataa Rahe Hain Mera Dil Dukha Rahe Hain Tumhi Hausla Badhaana Madani Madine Wale
Mere Sab Azeez Choote Mere Yaar Bhi To Roothe Kahi Tum Na Rooth Jaana Madani Madine Wale
Mai Agar Che Hoon Kameena Tera Hoon Shahe Madina Mujhe Seene Se Lagaana Madani Madine Wale
Tere Dar Se Shaha Behtar Tere Aastaan Se Badhkar Hai Bhala Koi Thikaana Madani Madine Wale
Tera Tujh Se Hoon Sawaali Shaha Pherna Na Khali Mujhe Apna Tum Banaana Madani Madine Wale
Ye Mareez Mar Raha Hai Tere Haath Me Shifa Hai Aye Tabeeb Jald Aana Madani Madine Wale
Tu Hi Ambiya Ka Sarwar Tu Hi Do Jahaan Ka Yaawar Tu Hi Rehbare Zamaana Madani Madine Wale
Tu Hai Be Kason Ka Yaawar Aye Mere Ghareeb Parwar Hai Sakhi Tera Gharaana Madani Madine Wale
Tu Khuda Ke Baad Behtar Sabhi Se Mere Sarwar Tera Haashmi Gharaana Madani Madine Wale
Teri Farsh Par Huqumat Teri Arsh Par Huqumat Tu Shehenshah E Zamaana Madani Madine Wale
Tera Khulq Sab Se A’ala Tera Husn Sab Se Pyaara Fidaa Tujh Pr Sab Zamana Madani Madine Wale
Kahoon Kis Se Aah Jaakar Sune Kaun Mere Dilbar Mere Dard Ka Fasaana Madani Madine Wale
Mai Ghareeb Be Sahara Kahaan Aur Hai Guzaara Mujhe Aap Hi Nibhaana Madani Madine Wale
Ye Karam Bada Karam Hai Tere Haath Me Bharam Hai Sare Hashr Bakhshwaana Madani Madine Wale
Kabhi Jau Ki Moti Roti To Kabhi Khajoor Pani Tera Aisa Saada Khana Madani Madine Wale
Hai Chatayi Ka Bichona Kabhi Khaak Hi Pe Sona Kabhi Haath Ka Sir-Haana Madani Madine Wale
Teri Saadgi Pe Laakhon Teri Aajizi Pe Laakhon Ho Salaame Aajizaana Madani Madine Wale
Mile Naza Me Raahat Rahoon Qabr Me Salaamat Tu Azaab Se Bachana Madani Madine Wale
Aye shafi e roz e mehshar! Hai gunaah ka bojh sar par Mai Phasaan Mujhe Bachaana Madani Madine Wale
Mere shaah! Waqte rukhsat mujhe meetha meetha sharbat Teri Deed Ka Pilaana Madani Madine Wale
Pas Marg Sabz Gumbad Ki Huzoor Thandi Thandi Mujhe Chaoon Me Sulaana Madani Madine Wale
Mere Walidain Mehshar Mein Go Bhool Jaye Sarwar Mujhe Tum Na Bhool Jaana Madani Madine Wale
Shaha Tangi Badi Hai Yahaan Dhoop Bhi Kadi Hai Shahe Hauze Kausar Aana Madani Madine Wale
Mujhe Aafaton Ne Ghera Hai Musibaton Ka Dera Ya Nabi Madad Ko Aana Madani Madine Wale
Mera Seena Ho Madina Mere Dil Ka Aabgeena Bhi Madina Hi Banaana Madani Madine Wale
Aye Habeebe Rabbe Baari Hai Gunaah Ka Bojh Bhari Tumhi Hashr Me Chchudana Madani Madine Wale
Meri Aadatein Ho Behtar Banu Sunnaton Ka Paikar Mujhe Muttaqi Banaana Madani Madine Wale
Shaha Aisa Jazbaa Paau Ke Mai Khoob Seekh Jaau Teri Sunnate Sikhaana Madani Madine Wale
Tere Naam Par Ho Qurbaan Meri Jaan Jaane Jana Ho Naseeb Sar Kataana Madani Madine Wale
Teri Sunnaton Par Chal Kar Meri Rooh Jab Nikal Kar Chale Tum Gale Lagaana Madani Madine Wale
Hai Muballigh Aaqa Jitne Karo Door Unse Fitne Buri Maut Se Bachaana Madani Madine Wale
Mere Ghous Ka Waseela Rahe Shaad Sab Qabeela Inhe Khuld Me Basaana Madani Madine Wale
Mere Jis Qadar Hai Ahbaab Inhe Karde Shaha Betaab Mile Ishq Ka Khazaana Madani Madine Wale
Meri Ane Wali Naslen Tere Ishq Hi Me Machlen Unhe Nek Tum Banaana Madani Madine Wale
Mile Sunnaton Ka Jazbah Mere Bhai Chchode Maula Sabhi Dadiyaan Mundaana Madani Madine Wale
Mere Jis Qadar Hai Behne Sabhi Kaash Burqa Pehne Ho Karam Shahe Zamaana Madani Madine Wale
Do Jahaan Ke Khazane Diye Haath Me Khuda Ne Tera Kaam Hai Lutaana Madani Madine Wale
Teri Gham Me Kaash Attar Rahe Har Ghadi Giraftaar Ghame Maal Se Bachaana Madani Madine Wale