Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Ghous E Azam Ka Deewana Jo Hai Khwaja Ka Mastana
 

 
Jo Muhammad Pe Dil Se Fida Hain
 

 
Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Jab Wo Paida Hua Noori Saaye Tale Baatil E Najd Mein Aa Gaye Zalzale
 

 
Kaise Uski Fazeelat Ka Suraj Dhale Jiski Azmat Ka Sikka Arab Me Chale
 

 
Jiska Khaaye Uska Gaaye Uska Naara Hum Lagaye, Jiska Naara Arab Mein Laga Hai
 

 
Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Jisne Ishq E Nabi Mein Utha Ke Qalam Mustafa Jaan E Rehmat Kiya Hai Raqam
 

 
Bad Aqeedoh Ka Jisne Giraya Alam Jisne Sarr Najdiyat Kiya Hai Qalam
 

 
Jab Bhi Ye Kisi Ne Poocha Har Taraf Se Naara Gunja, Ke Wo Khwaja Piya Ki Ataa Hai
 

 
Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Dasvi Tareekh Thi Maahe Shavval Tha Ghar Naqi Khan Ke Beta Paida Hua
 

 
Naam Ahmad Raza Uska Rakhha Gaya Aala Hazrat Zamane Ka Wo Bann Gaya
 

 
Ilm O Hiqmat Ka Khazana Ho Mujaddid E Zamana Najdiyo Se Jo Tanha Lada Hai
 

 
Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

Jab Raza Kha(n) Ko Bay’at Ki Khwaish Hui Pohache Marehra Wo Umr Baayis Ki Thi
 

 
Faiz E Barkaat Se Aysi Barkat Mili Saath Bay’at Ke Fauran Khilafat Mili
 

 
Aala Hazrat Unko Tanha Sirf Main Hi Nahi Kehta Achhe Achho Ko Kehna Pada Hai
 

 
Wo Bareiley Ka Ahmed Raza Hai

    270
    0