Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat

Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat
 

 
Yaad bhi ab toh nahi ranj o alam ki surat

Khwab mein dekhun agar daafae gum ki surat
 

 
Phir na waqae ho kabhi ranj o alam ki surat

Aable paon mein pad jaen jo chalte chalte
 

 
Raah-e-Taiba mein chalun sir se qadam ki surat

Moom hai Unke qadam ke liye dil pathar ka
 

 
Sang ne dil mein rakhi Unke qadam ki surat

Teri tasvir khinche rue munawwar kyun kar
 

 
Kaise khinche koi misbahe zulam ki surat

Aaen jo khwab mein woh ho shabe gum eid ka din
 

 
Jaen to eid ka din ho shabe gum ki surat

Bhed ko khauf na ho sher se jo Tum chaho
 

 
Tum jo chaho to bane shere ganam ki surat

Surat-e-Paak woh be-misl hai pai Tum ne
 

 
Jiski saani na arab aur na ajam ki surat

Dum nikal jae mera raah mein Unki noorie
 

 
Unke kuche mein rahun naqshe qadam ki surat

    50
    0