Pohanchoo dare sarkar pe chaha to yehi hai Naat Lyrics

Pohanchoo dare sarkar pe chaha to yehi hai,
 

 
Agay meri taqdeer tamana to yehi hai.

Ek khas mehak aane lagi mouj e hawwaa main,
 

 
Asar batatay hain Madina to yehi hai.

Hain Gumbad e Khizra kay siwa or bhi jalway
 

 
Ankhoon ke liye khas nazara to yehi hai.

Yeh unki raza hai mujhay bhayjein mujhay rokein,
 

 
Wapis main nahi aaoon ga socha to yehi hai.

Yaad unki rahe dil mein, jamal unka nazar main,
 

 
Naam unka zaban per rahe acha to yehi hai.

Har saans say aati ho sada Salle Ala ki,
 

 
Hum lakh jiyein, asal main jina to yehi hai.

Izhar e gham e hijr ki kia shakal nikaloon,
 

 
Ronay ki bhi takat nahin rona to yehi hai.

Taiba mein ho sab kuch mere daman main hain aasein,
 

 
Duniya ka karoon kiya meri duniya to yehi hai.

Pohnchoon dar e sarkar pay chaha to yehi hai,
 

 
Agay meri taqdeer tamanaa to yehi hai.

    4030
    2