Nigah e Rehmat Uthi Huwi Hai Woh Sab ki Bigri Bana Rahe Hai
Kareem ka dar khula huwa hai bhare khazane luta rahe hai
Falak ka seena damak raha hai zameen ka gulshan mehak raha hai
Chire hai SalleAllah ke nagme huzoor tashreef la rahe hai
Karega yeh hasr bhi nazara banege mushkil me woh sahara
Karenge sab intezaar unka woh aa rahe hai woh aa rahe hai
Baroaz e Mehshar Bawaqt e Pursish khara tha mai toh farishte bole
Idhar khare kar rahe ho tum kya tumhe to Aaqa bula rahe hai
Na unke jaisa azeem dekha na aisa Dur e Yateem dekha
Zamana thukra raha hai jinko unhe woh seene laga rahe hai
Nabi ki tauseef Allah Allah ke daad Jibreel de rahe hai
Zahoor kya khush naseeb hai joh Nabi ki naatein suna rahe hai