Mujhpe Bhi Chashme Karam Aye Mere Aaqa Karna

Mujhpe bhi chashme karam aye mere Aaqa karna
 

 
Haq toh mera bhi hai rehmat ka takaaza karna

Tu kisi ko uthata nahi apne dar se
 

 
Ke teri shaan ke shaaya nahi aisa karna

Mai hu bekas ke tera shewa hai sahara dena
 

 
Mai hu beemaar tera kaam hai achcha karna

Mai ke zarra hu mujhe wusate sahara dede
 

 
Ke tere bas me hai katre ko bhi darya karna

Yeh tera kaam hai aye Aamina ke Durr e Yateem
 

 
Saari ummat ki shafa’at tanha tanha karna

Chaand ki tarha tere gird woh taaro ka hujoom
 

 
Woh tera halqaye ashaab me baitha karna

Mujh pe mehshar me Naseer unki nazar padh hi gayi
 

 
Kehne waale isse kehte hai Khuda ka karna

    490
    0