Mere Hussain Tujhe Salaam

Mere Hussain Tujhe Salaam
 

 
Assalam Ya Hussain
 

 
Karliya Nosh Jis Ne Shahadat Ka Jaam….
 

 
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam….
 

 
Mere Hussain Tujhe Salaam

Jin Ko Dhoke Se Kufe Bulaya Gaya…
 

 
Jin Ko Bethe Bithaye Sataya Gaya….
 

 
Jin Ke Bachcho Ko Payasa Rulaya Gaya…..
 

 
Jin Ki Garden Pe Khanjar Chalaya Gaya….
 

 
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam

Jinka Jannat Se Joda Mangaya Gaya…
 

 
Jin Ko Doshe Nabi Pe Bithaya Gaya….
 

 
Zehar Bhai Ko Jis Ke Pilaya Gaya….
 

 
Jis Ko Teero Se Chalni Karaya Gay…
 

 
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam

Jis Ne Haque Karbala Me Aada Kardiya…
 

 
Apne Nana Ka Wada Wafa Kar Diya…
 

 
Sab Kuch Ummat Ki Khatir Fida Kar Diya
 

 
Ghar Ka Ghar Hi Supurde Khuda Kardiya
 

 
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam

Kar Chuka Wo Abhi Apni Hujjat Tamam…
 

 
le Ke Allah Aur Apne Nana Ka Naam…
 

 
Kufio Ko Sunaye Khuda Ke Kalaam…
 

 
Aur Fida Hogaya Wo Wahi Tishna Kaam…
 

 
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakho Salaam

    250
    3