Hamaray Aaqa Hamaray Moula Imam E Azam Abu Hanifa

Hamaray Aaqa Hamaray Moula Imam E Azam Abu Hanifa
 

 
Hamaray Muljaa Hamaray Maa’Wa Imam E Azam Abu Hanifa

Tum Hi Ko Maana, Tum Hi Ko Jana, Tumhi Tou Sub K Imam Thehray
 

 
Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa

Zamanay Bhar Ne Zamanay Bhar Mein Bohat Tajassus Kia Hay Lekin
 

 
Mila Na Koi Imam Tum Sa Imam E Azam Abu Hanifa

Tumharay Aagay Tamam Aalam Na Kiun Karay Zaano E Adab Kham
 

 
Kay Peshwayaan-E-Deen-E-Baala Imam E Azam Abu Hanifa

Na Kiun Karain Naaz Ahlesunnat Kay Tum Se Chamka Naseeb-E-Ummat
 

 
Siraj E Ummat Mila Ho Tumsa Imam E Aazam Abu Hanifa

Hua Uloo Al-Amr Se Ye Sabit Kay Teri Taa’At Zaroor Wajib
 

 
Khuda Ne Tum Ko Kia Hamra Imam E Azam Abu Hanifa

Siraaj Tu Hay Baghair Teray Jo Koi Samajhe Hadees O Quraan
 

 
Phiray Batakhta Na Paaey Rasta Imam E Azam Abu Hanifa

Jo Teri Taqleed Shirk Hoti, Muhaddiseen Saaray Hotay Mushrik
 

 
Bukhaari-O-Muslim Ibn Majah Imam E Azam Abu Hanifa

Ye Jitnay Fuqaha Muhaddiseen Hain, Tmharay Khirman Se Khosha Cheen Hain
 

 
Wo Wastay Se Ye Bay Waseela Imam E Azam Abu Hanifa

Khabar Le Ae Dastageer E Ummat Hay Saaiq E Be Khabar Pe Shiddat
 

 
Wo Tera Ho Kar Phiray Bathakta? Imame Azam Abu Hanifa

    30
    0