Ham Faqiroon ko Madine ki Gali Achi lagi

Khusrawi achi lagi na, sarwari achi lagiHam faqiroon ko Madine ki galli achi lagi
 

 
Door they to zindagi be rang thi be-kaif thi

Un ke kuchey main ga’ey to zindagi achi lagi
 

 
Main na jaun ga kahin bhi, dar Nabi ka chaur kar

Mujh ko ku’ey Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) ki chakari achi lagii
 

 
Naaz kar tu aey Halima sarwar-e-kownain par

Gar lagi achii to teri jhownparhi achi lagii
 

 
Rakh diye sarkaar ke qadmoun pe sultanon ne sar

Sarwarey kown-o-makaan kii saadgii ach-chii lagii
 

 
Door rah kar astaan-e-sarwar-e-kownain se

Zindagi achii lagiina bandagi achii lagii
 

 
Mahr-o-mah ki roshani maana ke achi hai magar

Sabz gunbad ki mujhey to roshani achi lagi
 

 
Aaj mahfil mein Niyaazi, naat jo maine parhi

Ashaqan-e-Mustafa ko woh barhi achii lagi

    70
    0