FALAK KE NAAZARO ZAMEEN KI BAHAARO

Falak Ke Naazaro, Zameen Ki Bahaaro
 

 
Sub Eidein Manao Huzoor Agaye Hain

Uttho Bay Saharo Chalo Gham Ke Maaro
 

 
Khabar Ye Sunao Huzoor Agaye Hain
 

 
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Anokha Niraala Woh Zee Shaan Ayaa
 

 
Woh Saray Rasoolaun Ka Sultan Ayaa
 

 
Aray Kaj Kula’ho Aray Baadshaho
 

 
Nigahein Jhukao Huzoor Agaye Hain
 

 
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Huwaa Char Su Rahmataun Ka Ba’sayra
 

 
Ujaala Ujaala’ Sawera, Sawera
 

 
Halima (R.A) Ko Pohnchi Khabar Aaminah (R.A) Ki
 

 
Mere Ghar Main Aao, Huzoor Agaye Hain

Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain
 

 
Hawaun Mein Jazbaat Hain Marhaba Ke
 

 
Fazaun Mein Naghmaat Salle’Alla Ke
 

 
Daroodaun Ke Gajrey, Salamaun Ke Tohfay
 

 
Ghulamo Sajaao, Huzoor Agaye Hain
 

 
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Sama Hai Sana E Habeeb E Khuda Ka
 

 
Ye Meelad Hai Sarwaray Ambiya Ka
 

 
Nabi Ke Gadao Sub Ek Doosre Ko
 

 
Khabar Ye Sunao, Huzoor Agaye Hain
 

 
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

Kahaan Mai Zahuri Kahaan Unki Batein
 

 
Karam Hi Karam Hain Ye Din Aur Ratein
 

 
Jahaan Par Bhi Jaao Dilaun Ko Jagao
 

 
Yahi Kehte Jaao, Huzoor Agaye Hain
 

 
Huzoor Agaye Hain, Huzoor Agaye Hain

    80
    0