Dikhade ilahi Wo Pyara Madina Naat Lyrics

Dikhade ilahi wo pyara madina
 
Ilahi bana de madina ye sina
 
Mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Chali jis taraf se nabi ki sawari
 
Shajar ne hajar ne di juk kar salami
 
Sabhi kar rahe hein nabi ki gulami
 
Nabi ne sikhaya har ek sha’e ko jina
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Khade hein sawali dare mustafa par
 
Wahan koi aala na koi tawangar
 
Chalo aao mange habeebe khuda se
 
Ke hathon mein hai jiske sara khazina
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Bulalo madine mein aqa bulalo
 
Gira ja raha hun sambhalo sambhalo
 
Khatakar hun mujko aaqa nibhalo
 
Lagado mera paar aaqa safina
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Kiya jab bhi karte the aaqa ibadat
 
To qur’aan karta tha unki tilawat
 
Ye aisa khuda ki kasam mo’jaza hai
 
Mila inke sadke se bakhshish ka zina
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Ye aankhon ka rona ye dil ka tadapna
 
Tasawwur mein aaqa ke dar se lipatna
 
Dare mustafa par kahunga mein ja kar
 
Yahin mera marna yahin mera jina
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Bulawa jo aaye madine mein jaaun
 
Mein Rashid karam hi karam leke aaun
 
Ba-roze kayamat uthun jab lahad se
 
To mere labon pe ho naara madina
 
Muhammad muhammad madina madina
 

 
Dikhade ilahi wo pyara madina
 
Ilahi bana de madina ye sina
 
Mein mar jaaun mere kafan pe ye likhna
 

 
Muhammad muhammad madina madina

    2840
    0