Choote Na Kabhi Tera Daman Ya Khwaja Moinuddin Naat – Manqabat Lyrics

Chootey na kabhi tera daaman
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan
 

 
Hai tum pe fida sab tan mann dann
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Ajmer mujhe pohochaade Khuda
 

 
Chaadar mai charaahu phoolo ki
 

 
Yeh sadqa karu tan mann apna
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Farzande Ali ho Noor e Nabi
 

 
Mehboob e Khuda hain zaat teri
 

 
Ek baar dikha Rauza Apna
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Kaaba ho Madinaho ya Najaf
 

 
har sampt nazar tum aate ho
 

 
Kuch aisi lagi hai tum se lagan
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Waliyon ke wali ho tum Khwaja
 

 
Aur ibne sakhi ho tum Khwaja
 

 
Tum Aal e Nabi Awlaad e Ali
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

Aqaa ki atah woh Noor e Ali
 

 
Zahrah ki kali waliyo ke wali
 

 
Hasnain ke dil Usmaan ke nayan
 

 
Ya Khwaja Moinuddin Hasan

    1400
    0