Chaand Taare Hi Kya Dekhte Reh Gaye Naat Lyrics

Chand taaray hi kyaa, dekhtay Reh Gaye
 

 
Unko arzo samaa dekhtay Reh Gaye

Ham daray Mustafa (salla Llahu ‘alayhi wa sallam) dekhtay Reh Gaye
 

 
Noor hi noor tha, dekhtay Reh Gaye

Parh kay roohul ameen, soora e wadduhaa,
 

 
Soorat-e-Mustafa dekhtay Reh Gaye

Wo Imaamat ki shab, wo Saff-e-Ambiyaa,
 

 
Muqtadi muqtadaa dekhtay Reh Gaye

Naykon bad par huwaa, un ka yaksaa karam,
 

 
Log acha buraa dekhtay Reh Gaye

Kya khabar kiss ko kab Jaam-e-Kausar milaa,
 

 
Hum to unki adaa dekhtay Reh Gaye

Ho ke gumm ay Naseer Unke jalwon mein hum,
 

 
Shaan-e-Rabbul ‘Ulaa dekhtay Reh Gaye

Baar baar tauba ki aur phir torr di
 

 
Woh Habib-e-Khuda maaf karte rahe

Ya Rasul Llah ya Habiba Llah
 

 
Mere sar ko Haram ki fiza chahiye

Ya Rasool Llah ya Habiba Llah
 

 
Mere dil ko Dar-e-Mustafa chahiye

Fazl-e-Rabb-ul-‘ula aur kya chahiye
 

 
Mil gaye Mustafa aur kya chahiye

Chand taaray hi kyaa, dekhtay Reh Gaye
 

 
Unko arzo samaa dekhtay Reh Gaye

Kalaam By: Peer Syed Naseer-ud-Din Naseer Shah

    720
    0