زندگی یہ نہیں ہے کسی کے لیے
- Naat Academy
- Jul 2, 2019
- 2 min read
زندگی یہ نہیں ہے کسی کے لیے زندگی ہے نبی کی نبی کے لیے
نہ سمجھ مرتے ہیں زندگی کے لیے جینا مرنا ہے سب کچھ نبی کے لیے
چاندنی چار دن ہے سبھی کے لیے ہے صدا چاند عبدالنبی کے لیے
اَنْتَ فَیْھِمْ کے دامن میں منکر بھی ہیں ہم رہے عشرتِ دائمی کے لیے
عشق کر لو یہاں منکر و چار در مر کے ترسو گے اس زندگ کے لیے
داغِ عشقِ نبی لے چلو قبر میں ہے چراغِ لحد روشنی کے لیے
نقشِ پائے سگانِ نبی دیکھیے یہ پتہ ہے بہت رہبری کے لیے
وہ بلاتے ہیں کوئی یہ آواز دے دم میں جا پہنچوں میں حاضری کے لیے
اے نسیمِ صبا ان سے کہہ دے ذرا مضطرب ہے گدا حاضری کے لیے
جن کے دل میں ہے عشقِ نبی کی چمک وہ ہیں نجم زماں روشنی کے لیے
اختؔرِ قادری خلد میں چل دیا خلدوا ہے ہر اک قادری کے لیے
کلام : حضور تاج الشریعہ مفتی اختر رضا خان بریلوی رحمۃ اللّٰہ علیہ ———— Zindagi Ye Nahi Hay Kisi Ke Liye Zindagi Hay Nabi Ki, Nabi Ke Liye
Na Samajh Martay Hai Zindagi Ke Liye Jina Marna Hay Sab Kuch Nabi Ke Liye
Chandni Chaar Din Hay Sabhi Ke Liye Hay Sadi Chaand Abdun Nabi Ke Liye
“Anta Fihim” Ke Daaman Mein Munkir Bhi Hai Ham Rahay Ishrat E Daaimi Ke Liye
Aysh Kar Lo Yahaan Munkiro Chaar Din Mar Ke Tarso Ge Iss Zindagi Ke Liye
Daag E Ishq E Nabi Le Chalo Qabr Mein Hay Chiraag e Lahad Roshni Ke Liye
Naqsh E Paa E Sagaan E Nabi Dekhiye Ye Pataa Hai Bohat Rahbari Ke Liye
Maslak E Alaa hazrat Salamat Rahay Aik Pehchaan Din E Nabi Ke Liye
Maslak E Alahazrat Pe Qaa’im Raho Zindagi Di Ga’i Hay Issi Ke Liye
Sulh E Kulli Nabi Kaa Nahi Sunniyo! Sunni Muslim Hai Saccha Nabi Ke Liye
Wo Bulaatay Hain, Ko’i Ye Awaaz De Dam Mein Jaa Pohnchun Mein Haaziri Ke Liye
Aey Nasim E Sabaa Unn Se Keh De Shaha Muztarib Hai Gadaa Haaziri Ke Liye
Jin Ke Dil Mein Hai Ishq e Nabi Ki Chamak Wo Tarastay Nahi Chaandni Ke Liye
Jin Ke Dil Mein Hai Jalway Teray Ishq Ke Wo Hai Najm E Zamaan Roshni Ke Liye
Akhtar E Qadri Khuld Mein Chal Diyaa Khuld Waa Hay Har Ek Qaadri Ke Liye
Kalam : Huzoor Tajushshariah