top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat

Unko dekha toh gaya bhul mai gum ki surat Yaad bhi ab toh nahi ranj o alam ki surat

Khwab mein dekhun agar daafae gum ki surat Phir na waqae ho kabhi ranj o alam ki surat

Aable paon mein pad jaen jo chalte chalte Raah-e-Taiba mein chalun sir se qadam ki surat

Moom hai Unke qadam ke liye dil pathar ka Sang ne dil mein rakhi Unke qadam ki surat

Teri tasvir khinche rue munawwar kyun kar Kaise khinche koi misbahe zulam ki surat

Aaen jo khwab mein woh ho shabe gum eid ka din Jaen to eid ka din ho shabe gum ki surat

Bhed ko khauf na ho sher se jo Tum chaho Tum jo chaho to bane shere ganam ki surat

Surat-e-Paak woh be-misl hai pai Tum ne Jiski saani na arab aur na ajam ki surat

Dum nikal jae mera raah mein Unki noorie Unke kuche mein rahun naqshe qadam ki surat

5 views

Recent Posts

See All

شہر نبی ﷺ تیری گلیوں کا

Shehre Nabi ﷺ Teri Galiyo Ka Nakhsha Hi Kuch Aisa Hai Khuld Bhi Hai Mustaq Ziyarat Jalwa Hi Kuch Aisa Hai Dil Ko Sukun De Aankh Ko Thandak Rouza Hi Kuch Aisa Hai Farshe Zami Par Arshe Bari Ho Lagta Hi

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام

ملتا ہے تیرے در سے زمانے کو فیض عام دنیا کے بادشہ بھی اسی در کے ہیں غلام تیرا غلام وہ کہ جو شاہوں کو بھیک دے نسبت نے دے دیا ہے بلندی کا وہ مقام دیکھیں گے حشر میں تری وہ شان پرجمال بے شک کرم بنائے گا ا

bottom of page