top of page

نعت کی خوشبو گھر گھر پھیلے

Naat Academy Naat Lyrics Naat Channel-Naat-Lyrics-Islamic-Poetry-Naat-Education-Sufism.png

Pohanchoo dare sarkar pe chaha to yehi hai Naat Lyrics

Pohanchoo dare sarkar pe chaha to yehi hai, Agay meri taqdeer tamana to yehi hai.

Ek khas mehak aane lagi mouj e hawwaa main, Asar batatay hain Madina to yehi hai.

Hain Gumbad e Khizra kay siwa or bhi jalway Ankhoon ke liye khas nazara to yehi hai.

Yeh unki raza hai mujhay bhayjein mujhay rokein, Wapis main nahi aaoon ga socha to yehi hai.

Yaad unki rahe dil mein, jamal unka nazar main, Naam unka zaban per rahe acha to yehi hai.

Har saans say aati ho sada Salle Ala ki, Hum lakh jiyein, asal main jina to yehi hai.

Izhar e gham e hijr ki kia shakal nikaloon, Ronay ki bhi takat nahin rona to yehi hai.

Taiba mein ho sab kuch mere daman main hain aasein, Duniya ka karoon kiya meri duniya to yehi hai.

Pohnchoon dar e sarkar pay chaha to yehi hai, Agay meri taqdeer tamanaa to yehi hai.

334 views

Recent Posts

See All

Muqaam e qurb hai kaisa mere Siddiq_e_akbar ka

مقامِ قرب ہے کیسا مِرے صدّیقِ اکبر کا نبی کے ساتھ ہے روضہ مِرے صدّیقِ اکبر کا رسولوں اور سارے انبیا کے بعد میں بے شک ہے سب سے مرتبہ اعلیٰ مِرے صدّیقِ اکبر کا عمر فاروق، عثمانِ غنی، حیدر علی سے بھی مقا

Rasool e Paak ki Chahat Abu Bakar Siddiq

رسولِ پاک کی چاہت ابوبکر صدیق ہیں آپ فخرِ خلافت ابوبکر صدیق نبی کے بعد جو افضل ہیں سارے عالم میں وہی ہیں شانِ صداقت ابوبکر صدیق رکاوٹ آنہ سکا سانپ پہرے داری سے ہے خوب تیری رفاقت ابوبکر صدیق فقط بشر ہی

bottom of page